logo

Love Poetry



Jahan dil main kam aty hain tadbeeren na tazeren

Jahan dil main kam aty hain tadbeeren na tazeren
yahan peman tasleem o raza aisay nahi hota


Gar bazi ishq ki bazi hy jo chaho laga do dar kesa

Gar bazi ishq ki bazi hy jo chaho laga do dar kesa
gar jeet gaye to kia kehna, haray bhi to bazi mat nahi


Tery umeed tera intazar hy jab say

Tery umeed tera intazar hy jab say
na shab ko din say shikayat, na din ko shab say hy


Tery jamal say har subha par wazoo lazim

Tery jamal say har subha par wazoo lazim
har aik shab tery dar par sajood ki paband


Sitm sikhlaey ga rasm e wafa aisay nahy hota

Sitm sikhlaey ga rasm e wafa aisay nahy hota
sanam dikhlayen gay rah e khuda aisa nahy hota


Rat yun dil main tery khoye huwy yad aye

Rat yun dil main tery khoye huwy yad aye
jesy werany main chupkay say bahar ajaye


Medan wafa darbar nahi

Medan wafa darbar nahi
yan nam o nasb ki poch kahan


Khuda wo waqt na laye k sogwar ho tu

Khuda wo waqt na laye k sogwar ho tu
sakun ki neend tuj bhi haram ho jaye


Uth kar to agye hain tery bazm say magr

Uth kar to agye hain tery bazm say magr
kuch dil he janta hy k kis dil say aye hain


Wo bat sary zamany main jis ka zikar na tha

Wo bat sary zamany main jis ka zikar na tha
wo ba un ko bohat nagwar guzry hy




Poet