logo

Sad Poetry



Baad baankhulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa

Baad baankhulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa
mainsamandar dekhatii huuntum kinaaraa dekhanaa

yuunbichha.Danaa bhii bahut aasaanna thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo mu.D ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaa.Nd
ai shab-e-hijraanzaraa apanaa sitaaraa dekhanaa


[shabaahat=form; shab-e-hijraa.N=night of separation]

aa_iine kii aa.Nkh hii kuchh kam na thii mere liye
jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa
Parveen Shakir Poetry | Sad Poetry | Characters: 474


Apanii rusavaa ii tere naam ka charchaa dekhuun


Apanii rusavaa ii tere naam ka charchaa dekhuun
ek zaraa sher kahuunaur mainkyaa kyaa dekhuun

niind aa jaaye to kyaa mahafilenbarpaa dekhuun
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuun

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhenbhii merii
bhuulanevaale mainkab tak teraa rastaa dekhuun

sab zidenus kii mainpuurii karuunhar baat sunuun
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuun

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut menmahakataa dekhuun

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii menaataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuun

mainne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkhonmenutarataa dekhuun

tuu meraa kuchh nahiinlagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyontere liye dil ko dha.Dakataa dekhuun
Parveen Shakir Poetry | Sad Poetry | Characters: 819


Woh aankhain jheel si gehri to hain magar

Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Un mein koi bhi akss bhi mere naam ka nahin..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 95


Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon

Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon,
Ab mein kyon aur kis ki khatir zindaa hoon..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 92


Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin

Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,

Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 632


Hai Amjad aaj tak woh shakhss dil main

Hai Amjad aaj tak woh shakhss dil main,
Ke jo uss waqt bhi mera naheen thaa..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 78


Meri sochain badalti ja rahi hain

Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 530


Dilon se mehr o wafaa aankh se hayaa nikle

Dilon se mehr-o-wafaa, aankh se hayaa nikle,
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle,

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo’n ko,
Hum aik khawb mein doobey to jaa’bjaa* nikle,

Ajab nahin inhi dar’warsan main phool khilain,
Koi bahaar ka qaasid* idhar jo aa nikle,

Wohi falak* tha, wohi raat thi, wohi mausam,
Magar hamare sitare judaa judaa nikle,

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai,
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle,

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad,
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 564


Humain to woh bohat achey lage hain

Humain to woh bohat achey lage hain,
Najane hum unhen kese lage hain,

To kya yeh par nikalne ka hai mausam,
Hawaa main jaal se khulney lage hain,

Naye qaatil ka istaqbaal hai kya,
Puraney zakham kyon bharney lage hain,

Ajab hai yeh talissm* hum-zubaani,
Paraaye log bhi apne lage hain,

Dilon ka bhaid* Allah janta hai,
Bazaahir* aadmi achey lage hain..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 373


Chale gi yeh pareshaani kahan tak

Chale gi yeh pareshaani kahan tak,
Bata aye ghar ki veerani kahan tak,

Bohat lambi thi ab ke, khushk’saali*,
Barastaa ankh se paani kahan tak,

Tere tootey huye gajron ke hote,
Mehekti raat ki raani kahan tak,

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu,
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak,

Khilona hai isey to tootna hai,
Karain dil ki nigehbaani* kahan tak,

Usey baadal bulate hain hamesha,
Samandar main rahe paani kahan tak..
Amjad Islam Poetry | Sad Poetry | Characters: 452




Poet