logo

Political Poetry



Akelay par utar kar ye nakhuda nay kaha

Akelay par utar kar ye nakhuda nay kaha,
musafiro yahi qismat shikasta nao ky thy


Ban gya qafla chaltay chaltay

Ban gya qafla chaltay chaltay,
warna tanha he rawan thay pehlay


Barham bas is khaa p ameeran e shehr hain

Barham bas is khaa p ameeran e shehr hain,
in johron ko main samandar nahi kaha


Bastyan chand sitaron ki basany walo

Bastyan chand sitaron ki basany walo,
kura e arz p bujtay chalay jatay hain charagh


Beroon e dar na koi roshni na saya tha

Beroon e dar na koi roshni na saya tha,
sabhi fasad muj androon e khana laga


Charhtay dryaon main toofan uthanay waly

Charhtay dryaon main toofan uthanay waly,
chand boonden he sar e daman e sehra barsa


Ye lag raha hy sitaron ki chal say k falat

Ye lag raha hy sitaron ki chal say k falat,
koi azab mery khak par utary ga.


Ya to mojon kay shanasa na bano

Ya to mojon kay shanasa na bano,
ya kinaron ko baha kar guzaro


Wo waqt agya hy k sahil ko chor kar

Wo waqt agya hy k sahil ko chor kar,
gehray samandron main utar jana chahye


Wo safeenay jinhen toofan na milay

Wo safeenay jinhen toofan na milay,
nakhudaon nay daboye hon gay




Poet