Ahmed Faraz Poetry
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain
Is qadar qemti to na tha mera chain o Sakon Faraz
Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan
Dunya mein mat dhoond naam e wafa
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna…
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey
Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga
Shayari aawargi khushbu wafaa lazzat sharaab
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho