Tanhai Poetry
Tanha Hoon Is Dard Mohabbat Mein
Tanha Hoon Is Dard Mohabbat Mein
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho;
Hum Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal;
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho!
Paas a kar betho muje apna samjho
Paas a kar betho muje apna samjho
jab bhi rothi hoi yadon muje tanha dekho
Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon
Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon
Tanhai Ne Tanhai Me Tanha Mera Sath Diya Hai…
Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom
Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom
K to nahin tha tere sath aik dunia thi.
Log tanhai se dar kar jangalon me aa gae
Log tanhai se dar kar jangalon me aa gae,
Sheher ki galion me abb k aisa sanata hoa.
Anjaan Shahar Ke Anjaan Raste
Anjaan Shahar Ke Anjaan Raste
Meri Tanhaayi Par Muskarate Rahe,
Mein Bahut Der Tak Yunhi Chalti Rahi,
Tum Bahut Der Tak Yaad Aate Rahe….
Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain
Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain
Raat k waqt bhi jo jaag raha hota hai.
Ek pal ehsas ban ke aate ho
Ek pal ehsas ban ke aate ho
Or dusre pal khwab ban k udd jaate ho
Yeh maloom hai ki tanhai se dar lagta hai hamay
Phir bhi bar bar tanha chhor jaate ho…
Kis lie tum nend se sharma rahe ho is tarah
Kis lie tum nend se sharma rahe ho is tarah
Khawab me dhala na kabhi raat ko zawal aea.
Qurbat k talismat me kho jate hain aksar
Qurbat k talismat me kho jate hain aksar
Mehsos na karna k ye adad hai hamari.