Hassan Rizvi Poetry
Syed Hasan Abbas Rizvi is famous urdu and punjabi poet.he was born 18 August 1946 in Ambala,India.He died on 15 February 2002 at Lahore,Pakistan.He did Ph.D. from Punjab University.He was teacher and journalist and chairman of Urdu in F.C College Lahore.he is also editor of jang
teri ahaton ko taras gain mere jism o jan ki samaten
teri ahaton ko taras gain mere jism-o-jan ki samaten
tere ang ang amin loch hai mere dil k soz-o-gadaz ka
mere khun-e-dil se raqam huin tere rang-o-bu ki hikayaten
meri chashm-e-gam dil-e-muztarib gam-e-arazu gam-e-justaju
liye phir raha hun nagar nagar kisi mehraban ki amanaten
Ye shab e firaq ye bebasi hain
Ye shab-e-firaq ye bebasi hain
ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udasiyan
mera sath koi na de saka meri hasraten hain dhuan dhuan
main tarap tarap k jiya to kya mere khwab mujh se bichar gaye
main udas ghar ki sada sahi mujhe de na koi taslliyan
chali aisi dard ki andhiyan mere dil ki basti ujar gai
ye jo rakh-si hai bujhi bujhi hain isi mein meri nishaniyan
ye fiza jo gard-o-gubar hai meri bekasi ka mazar hai
main wo phul hun jo na khil saka meri zindagi mein wafa kahan
kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna
wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna
gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna
mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna
gai ruton mein ?Hassan? hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna