Hafeez Jalandhari Poetry
Abu Al-Asar Hafeez Jullundhri is a famous Pakistani urdu poet.Who wrote lyrics for National Anthem of Pakistan.He is Born on 14 January 1900 in Jalandhar,India and he is Died 21 December 1982 Lahore, Pakistan.He is also a editor of some magazines Hazar Dastaan, Nonehal,Teehzeeb-e-Niswan, and Makhzin.
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun
Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun
Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;
Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;
Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun
‘Hafeez’ Ahal-e-Zubaan Kab Maante The
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!
Chahoon To Ab Bhi Janibe Manzil Palat Chalu
Chahoon To Ab Bhi Janibe-Manzil Palat Chalu
Gumraah Is Liye Hun Ki Rahbar Khafha Na Ho!
Khoon Bar Kar Munasib Nahi Dil Bahe
Khoon Bar Kar Munasib Nahi Dil Bahe
Dil Nahi Maanta Kaun Dil Se Kahe
Teri Duniya Mein Aaye Bahut Din Rahe
Sukh Ye Paya Ki Hum Ne Bahut Dukh Sahe
Bulbulein Gul Ke Aansu Nahi Chatati;
Un Ko Apni Hi Margoob Hain Chehchahe;
Aalam-e-Nazaa Mein Sun Raha Hun Mein Kya;
Ye Azizon Kee Cheekhe Hain Kya Kehkahe;
Is Naye Husn Kee Bhi Adaon Pe Hum
Mar Mitenge Ba-Sharte Ke Zinda Rahe
Tum ‘Hafeez’ Ab Ghisatne Kee Manzil Mein Ho
Daur-e-Ayyaam Pahiya Hai Gham Hain Rahe!
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai
Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai!