Bewafa Poetry
Log Kehte Hain Ki Pyaar Ek Aisi Bimari Hai
Log Kehte Hain Ki Pyaar Ek Aisi Bimari Hai,
Jiski Koi Dawa Nahi Hoti;
Hum Kehte Hain Bewafai Ek Aisi Dawa Hai,
Jisse Ye Bimari Phir Dobara Nahi Hoti!
Kuch Is Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasaan Kar Liya
Kuch Is Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasaan Kar Liya
Bhulkar Teri Bewafai Apni Tanhai Se Maine Pyaar Kar Liya!
Kaam Aa Saki Naa Apni Wafayein To Kya Karein
Kaam Aa Saki Naa Apni Wafayein To Kya Karein
Us Bewafa Ko Bhool Naa Jayein To Kya Karein!
Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto
Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto
Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi!
Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi
Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi
Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi;
Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana;
Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi!
Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen
Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen
Woh Hi Apne Samne Ho, Hum Jidhar Dekha Karen;
Ek Taraf Ho Sari Duniya, Ek Taraf Teri Surat Ho;
Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen!
Jo Dil Zinda Hi Na Ho Uske Liye Zindagi Kya Hai
Jo Dil Zinda Hi Na Ho Uske Liye Zindagi Kya Hai
Lete Rehte Hain Naam Unka Woh Mere Nahi To Kya Hai;
Dhadkta Rehta Hai Kehne Ko To Ye Dil Mera;
Zindagi Chalti Rahe Ya Khatam Ho Humein Matlab Hi Kya Hai!
Hamari Subh Sham Hoti Thi Jin Ke Pehloo Main
Hamari Subh Sham Hoti Thi Jin Ke Pehloo Main
Waqt Badala To Dikhai Dete Hain, Ghairon Ke Dariche Main!
Roz Kehta Hu Ki Bhul Jaunga Usse
Roz Kehta Hu Ki Bhul Jaunga Usse
Magar Na Jane Kyun Roz Ye Baat Bhul Jata Hu!
Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhe Main Galay Laga Loon
Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhe Main Galay Laga Loon
Mera Ishq Be-Maza Tha, Teri Dushmani Se Pehle!