Akhtar Sheerani Poetry
Akhtar Sheerani is a famous Pakistani Urdu poet.He is Born on 4 May 1905 In Rajasthan,India.He is Died 9 September 1948 in Lahore,Pakistan.He was teaching Islamia College,Oriental College Lahore,Pakistan
Ji Chaahta Hai Ik Doosre Ko Yun Aath Pehar Hum Yaad Karen
Ji Chaahta Hai Ik Doosre Ko Yun Aath Pehar Hum Yaad Karen;
Ankhon Mein Basaaen Khwaabon Ko Aur Dil Ko Khayal Aabad Karen;
Khilwat Mein Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dooi Se Shhad Karen;
Yeh Aarzooen Eejad Na Kar, Ai Ishq Hamein Barbaad Na Kar!
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon
Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon!
Dil Mein Khayal e Nargis e Janana Aa Geya
Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya
Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya;
Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya;
Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya;
Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar;
Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya;
Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun;
Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya;
Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan;
Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya;
Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan;
Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya!
Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar
Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar
Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi!